Engr. Maqbool Akram : The Story Teller

Poet of Nostalgia Amjad Islam: Muhabbat ki Ek Nazm (A Poem of Love)

Amjad Islam Amjad ki mashhoor nazm “Muhabbat ki Aik Nazm” (Agar kabhi meri yaad aaye) ek behtreen roopahli nazm hai jo judai aur mohabbat ki gehri feelings ko darshati hai. Yeh nazm unke romantic aur jazbati kalaam mein se sabse zyada pasand ki janey wali nazmon mein shumar hoti hai.

First and foremost, however, Amjad Islam is a poet whose lines tug at the hearts of those who have either fallen in or out of love.

मोहब्बत की एक नज़्म

मोहब्बत की एक नज़्म
अगर कभी मेरी याद आए

तो चाँद रातों की नर्म दिल-गीर रौशनी में
किसी सितारे को देख लेना

अगर वो नख़्ल-ए-फ़लक से उड़ कर
तुम्हारे क़दमों में आ गिरे

तो ये जान लेना वो इस्तिआ’रा था मेरे दिल का
अगर न आए

मगर ये मुमकिन ही किस तरह है
कि तुम किसी पर निगाह डालो

तो उस की दीवार-ए-जाँ न टूटे
वो अपनी हस्ती न भूल जाए

अगर कभी मेरी याद आए
गुरेज़ करती हवा की लहरों पे हाथ रखना

मैं ख़ुशबुओं में तुम्हें मिलूँगा
मुझे गुलाबों की पत्तियों में तलाश करना

मैं ओस-क़तरों के आईनों में तुम्हें मिलूँगा
अगर सितारों में ओस-क़तरों में ख़ुशबुओं में न पाओ मुझ को

तो अपने क़दमों में देख लेना मैं गर्द होती मसाफ़तों में तुम्हें मिलूँगा
कहीं पे रौशन चराग़ देखो

तो जान लेना कि हर पतंगे के साथ मैं भी बिखर चुका हूँ
तुम अपने हाथों से उन पतंगों की ख़ाक दरिया में डाल देना

मैं ख़ाक बन कर समुंदरों में सफ़र करूँगा
किसी न देखे हुए जज़ीरे पे

रुक के तुम को सदाएँ दूँगा
समुंदरों के सफ़र पे निकलो
तो उस जज़ीरे पे भी उतरना

Mohabbat Ki Ek Nazm (A Poem of Love)-English Translation

I must write a poem of love,
A poem that is you…
That is the silence of your eyes,
The laughter of your lips,
And the softness of your tone.

It is not a story told in words,
But a tale told in emotions,
A poem of the scent of rain,
And the warmth of the sun,
A poem of the silent,
enduring loveThat thrives in the heart.

It is the song of being apart,
Yet never truly separated,
Where each moment is a heartbeat,
And every heartbeat is your name.
A poem that is me, in you.

Muhabbat ki Ek nazm- Agar kabhi meri yaad aye

Agar kabhi mairi yaad aay
Tau chand raaton ki narm dilgeer roshni main
kissi sitaray ko daikh lena __
Agar woh nakhl-e-falak say ur kar tumharay qadmon main aa giray tau
Yeh jaan lena, woh iste’ara tha meray dil ka,
Agar na aay……..

Magar yeh mumkin hi kis tarah hai ke
tum kisi per nigah daalo
Tau us ki deewaar-e-jaan na tootay
Woh apni hasti na bhool jaay

Agar kabhi meri yaad aay
Guraiz karti hawa ki lehron peh haath rakhna
Main khushboowon main tumhain miloonga
Mujhay gulaabon ki pattyon main talash karna
Main aous qatron kay aainon main tumhain miloonga ___
Agar sitaron men, aous qatron main,
khushboowon main na paao mujhko

Tau apnay qadmon main daikh laina
Main gard hoti musaftoN main tumhaiN miloon ga ___
Kaheen peh roshan charagh dekho tau jaan laina
Keh har patangay kay saath main bhi bikhar chuka hoon
Tum apnay haathon say unn patangon ki raakh darya main daal dena
Main khak ban kar

samundaron main safar karoon ga ___
Kissi na daikhay muway jazeeray pe
ruk kay tum ko sadaaen doonga
Samundaron kay safar peh niklo
tau uss jazeeray peh bhi utarna

The End

Disclaimer–Blogger has prepared this short write up on Poet “Poet of Nostalgia Amjad Islam: Muhabbat ki Ek Nazm (A Poem of Love)” with help of materials and images available on net. Images and videos on this blog are posted to make the text interesting. The materials videos and images are the copy right of original writers. The copyright of these materials are with the respective owners. Blogger is thankful to original writers.

Scroll to Top